Quran ki kasam khana kaisa


Sawal Assalamu alekum kya farmate hai ulmaye ikram is masle ke bare me ki quran ki kasam khane se kasam hogi ya nhi baraye karam javab inayat farmaye ain nawazish hogi faqat wassalam 

Sawal karne wale ka name Mohammad meraz aalam balrampur up 

Al Jawab biuan Al mulk al wahab 

Quran ki kasam khane se kasam ho jati hai jab kisi ne quran ki kasam khai aur kasam tod di to kasam ka kuffara dena lazim ho gya uska kuffara ye hai ki miskeen ko dono wakt pet bhar khana khilana hoga aur jin miskeen ko subah wakt khilaya unhi ko sham unhi ko sham ke wakt bhi khilaye dusre das miskeeno ko khilane se bhi ada n hoga aur ye ho sakta hai ki daso ko ak hi din khila de ya har roj ak ak ko ya ak hi ko das din tak dono time khilaye aur masakeen jinko khilaya un me koi bachcha n ho aur khilane me abahat w tamleek dono surate ho sakti hai aur ye bhi ho sakta hai ki khilane ke awaj miskeen ko nisf saa genhu ya ak saa jau ya unki kimat ka malik kr de ya das roj tak ak hi miskeen ko sadqa fitr de diya kre ya baj ko khilaye baj ko de de garj ki uski surate wahi se maloom kre fark itna hai ki wanha 60 miskeen the yanha 10 hai 

(Hawala>bahar e shariyat hissa 09 safa no 304) 

Al abad Khaksar Nacheez Muhammad Shafiq Raza Rizvi Khateeb and Imam Sunni Masjid Hazrat Mansoor Shah Rehmat-ul-Alayh Bus Stop Kishanpur Al-Hind

0 Comments