Sayyad ya sayyda ko ujrat me kam par rakhna kaisa



Sawal kya farmate hai ulmaye ikram is masle ke bare me ki kya sayyad ya sayyada ko ujrat par ghar ki saf safai wagaira ke kam ke liye rakhana kaisa baraye karam javab inayat farmaye ain nawazish hogi faqat wassalam

Sawal karne wale ka name mo mubarak husain


Al-Jawab Ba'un al-Mulk al-Wahhab

Sadat e ekram ko mulajmat par rakhkha ja sakta hai jis me zillat n pai jati ho al batta zillat wale kamo me unhe mulajmat par rakhana jaiz nhi

Jaisa ki mere aala hajrat imam ahmad raza khan fazal e barelvi alaihi Rahma ki bargah me sawal hua ki sayyad ke ladke se jab shagird ho ya mulajim ho dini ya duniyavi khidmat lena aur usko marna jaiz hai ya nhi to aap ne jawaban irshad farmaya zalil khidmat usse lena jaiz nhi n aisi khidmat par use mulajim rakhna jaiz aur jis khidmat me zillat nhi us par mulajim rakh sakta hai bahal e shagird bhi janha tak urf aur maroof ho (khidmat lena) sharaan jaiz hai le sakta hai aur use (yani sayyad ko) marne se mutlakan ihtaraz (yani bilkul parhez kre)

Hawala>fatawa rizviyah shareef jild 22 safa no 568 raza faundeshan lahaur)

Katba Al abad Khaksar Nacheez Muhammad Shafiq Raza Rizvi Khateeb and Imam Sunni Masjid Hazrat Mansoor Shah Rehmat-ul-Alayh Bus Stop Kishanpur Al-Hind

0 Comments