Roje ki halat me kajal lagana kaisa

Sawal kya farmate hai ulmaye ikram is masle ke bare me ki roze ki halat me kajal lagana kaisa baraye karam javab inayat farmaye ain nawazish hogi faqat wassalam

Sawal karne wale ka name mo Danish raza bindki fatehpur up

Al Jawab roze ki halat me kajal w surma lagana jaiz hai agar che uska asar thook me zahir ho usse roza nhi tutega magar mard ko surma w kajal ba qasad zinat lagana alava roze ke bhi makrooh hai aur halate roza me ba darja ula makrooh hai jaisa ki hujur shadrush shariya badrud tareeqa mufti amzad ali aazmi alaihi rahma bahar e shariyat me tahreer farmate hai ki gulab w mushq wagaira sunghna dadhi w munchh me tel lagana aur surma lagana makrooh nhi magar jabki zinat ke liye surma lagaya ya is liye tel lagaya ki dadhi badh jaye halaki ak musht dadhi hai to ye dono bate bagair roze ke bhi makrooh hai aur roze me ba darja ula

(Hawala>bahar e shariyat hissa 05 safa no 997) roze ke makroohat ka bayan 

Aur durre mukhtar me hai ki 

 یکرہ دھن شارب ولا کحل اذا لم یقصد الزینۃ أو تطویل اللحیۃ اذا کانت بقدر المسنون وھو القبضۃ

(Hawala>durre mukhtar jild 03 safa no 397)

Aur fatawa hindiya Me hai ki 

و اذا بزق فرائ اثر الکحل و لونہ فی بزاقہ عامۃ المشائخ علی انہ لا یفسد صومہ کذا فی الذخیرۃ و ھو الاصح ھکذا فی التبین

Hawala>fatawa hindiya jild 01 safa no 203

Katba Al abad Khaksar nachiz Mohammad shafeeq raza razvi khateeb w imam sunni masjid hajrat mansoor shah raatullah alaihi bus stop kishanpur Al hind



0 Comments