aankh band kar ke namaz padhna kaisa



Sawal Kya farmate hai ulmaye ikra is masle ke bare me ki aankh band kar ke namaz padhna kaisa

Sawal karne wale ka name mo taufeek raza

Al Jawab surate masoola me bila wajah dauran e namaz aankhe band karna makrooh tanjihi hai yani gunah to nhi lekin bachna ola hai aur agar khushu w khujuh ki buniyad par band karta hai ki aankhe nhi band karta hai to khushu w khujuh nhi hota to ab aankhe band kar ke padhna afzal hai jaisa ki hujur shadrush shariya badrud tareeqa alaihi rahma bahar e shariyat me tahreer farmate hai ki namaz me aankhe band rakhna makrooh hai magar khuli rakhne me khushu n hota ho to band karne me harj nhi behtar hai

Hawala>bahar e shariyat hissa 03 jild 01 safa no 159

Aur jaisa ki sayyadi sarkar e aala hajrat asshah imam ahmad raza khan fazal e barelvi alaihi rahma tahreer farmate hai ki baj makroohat me se karahat jail ho jati hai jaise namaz me aankhe band karna makrooh hai aur khushu yunhi milta hai to aankhe band karna hi ola

Aur durre mukhtar me hai ki 

الخاطرفلایکرہ بل قال بعض العلماء انہ الاولی ولیس ببعید حلیۃ وبحر اھ اقول ولعل التحقیق ان بخشیۃ فوات الخشوع تزول الکراھۃ وبتحققہ یحصل الاستحباب

(Hawala>durre mukhtar jild 01 safa no 92)

Mazeed malumat ke liye dekhe👇

(Fatawa rizviya shareef jadeed jild 09 safa no 21)

Katba Al abad Khaksar Nacheez Muhammad Shafiq Raza Rizvi Khateeb and Imam Sunni Masjid Hazrat Mansoor Shah Rehmat-ul-Alayh Bus Stop Kishanpur Al-Hind

0 Comments