Kya sara din napak rahane se roja toot jata hai



Sawal kya farmate hai ulmaye ikram is masle ke bare me ki kya pura din napak rahane se roza toot jata hai baraye karam javab inayat farmaye ain nawazish hogi faqat wassalam


Sawal karne wale ka name mo tauseef raza


Al Jawab janabat ki halat me roza nhi tutega albatta namaz n padhne ke sabab gunahgar hoga 

Jaisa ki fatawa markaz e tarbiyat ifta me hai ki janabat ki halat me subah ki ya sara din janabat ki halat me raha roza n gya ki taharat shart som nhi magar itani der tak qasadan gusal n karna ki namaz kaza ho haram w gunah hai 

Jaisa ki durre mukhtar me hai ki 

اوا صبح جنبا وان بقی کل الیوم 

Hawala>durre mukhtar jild 03 safa no 372

Aur bahraiq me hai ki 


لو اصبح جنبا لا یضرہ کذا فی المحیط باب ما یفسد الصوم وما لایفسدہ


Hawala>bahraiq jald 02 safa no 273


Aur hashiya me hai ki 


اواصبح جنبا ولو استمر علی حالتہ یوما أوأ یا مالقولہ تعالی فالئن باشر وھن لا ستلزام جواز المباشرۃ الی قبیل الفجر وقوع الغسل بعدہ ضرورۃ وقولہ صلی اللہ تعالی علیہ و سلم وانا اصبح جنبا وانا اریدالصیام واغتسل واصوم


Hawala>hashiya safa no 362

Aur aala hajrat muhdis barelvi raji allah anho tahareer farmate hai ki wo shakhsh namaze umdan khone ke sabab sakhat kabair ka murtakib aur azab e jahnam ka mustujab hua magar usse roza me koi nakas w khalal n aaya taharat ba jama aima arba a shart som nhi ha ba wajh artkab kabeera uski noraniyat bilsom me fark aayega is liye ki junub tha balki is liye ki namaz faut ki 

(Hawala>fatawa rizviya jild 04 safa no 615) 

Makhuz fatawa markaz e tarbiyat ifta jild 01 safa no 468 

Aur aisa hi fatawa faiz ur rasool jild 01 safa 514 me hai

faqat wassalam 

Katba Al abad Khaksar nachiz Mohammad shafeeq raza razvi khateeb w imam sunni masjid hajrat mansoor shah raatullah alaihi bus stop kishanpur Al hind

0 Comments