Qada ula ka ak aham masla


Sawal Assalamu alekum kya farmate hai ulmaye ikram is masle ke bare me ki imam ne magrib ki namaz padhai dusari rakat me tashahud ke bad darood e ibrahimi bhi padh diye aakhir tak aur sajda sahu bhi nhi kiya to namaz ka kya hukam hai baraye karam javab inayat farmaye ain nawazish hogi faqat wassalam

Sawal karne wale ka name mohammad firdaush aalam

Walekum assalm 

Al-Jawab Ba'un al-Mulk al-Wahhab

Farz w witar aur sunnat e muaqida ke qada ula me tashahud yani(athiyat) ke bad sirf allahumma salle ala mohmmad ya allahumma salle aala sayyadina kah lia to agar ye kahana sahwan hua yani bhool kar hua to sajda sahu wazib hai aur agar janbujhkar kar lia to namaz ka iyada kare aur ye us wajah se nhi hai ki darood padha balki is wajah se hai ki tisari rakat ka qayam jo farz hai usme takheer hui aur farz me takhir hone ki wajah se sajda sahu lazim hota hai

Lehaza agar kisi ne qada ula me athiyat ke bad kuchh bhi padha nahi balki allahumma salle ala mohmmad padhne ke waqt ki miqdar chup raha to bhi sajda sahu wazib hai

Hawala>durre al mukhtar bahar e shariyat hissa 04 safa no 53

Hawala>fatawa rizwiya shareef jild 03 safa no 636

Wallaho aalmu bissawab

Katba Al abad Khaksar Nacheez Muhammad Shafiq Raza Rizvi Khateeb and Imam Sunni Masjid Hazrat Mansoor Shah Rehmat-ul-Alayh Bus Stop Kishanpur Al-Hind

0 Comments