Sawal Assalamu alekum kya farmate hai ulmaye ikram is masle ke bare me ki patakha ka karobar karna kaisa baraye karam javab inayat farmaye ain nawazish hogi faqat wassalam
Sawal karne wale ka name mo mushahid aalam bindki dist:fatehpur
Al-Jawab Ba'un al-Mulk al-Wahhab
is masle ke javaab mein hakeemul ummat hajarat allaama w maulaana mufti ahamad yaar khaan naeemi (alaihi rahama) tahreer farmate hai ki
aatishbazi (pataakha) banaana uska bechana aur uska khareedana-w khareedwana aur uska, chalaana aur chalawana ye sab haram hain aur usase hasil hone vaali raqam bhee haram hai faqat wassalam
Hawala>islami zindagi safa no 76
Katba Al abad Khaksar Nacheez Muhammad Shafiq Raza Rizvi Khateeb and Imam Sunni Masjid Hazrat Mansoor Shah Rehmat-ul-Alayh Bus Stop Kishanpur Al-Hind
0 Comments