Namaz janaza me imam kaha khada ho?



Sawal Assalamu alekum kya farmate hai ulmaye ikram is masle ke bare me ki namaz e janaza me imam ka mussala janaza se kitni door hona chahiye

Sawal karne wale ka name mo shahabuddin shaikh mumbai

Al-Jawab Ba'un al-Mulk al-Wahhab

Surat e masoola ke tahat hujur shadrush shariya badrud tareeqa alaihi rahma bahar e shariyat me tahreer farmate hai ki mustahab ye hai ki maiyyat ke seena ke samne imam khada ho aur maiyyat se door n ho khawah mard ho ya aurat balig ho ya nabalig ye us wakt hai jab ak hi maiyyat ki namaz e janaza padhani ho aur agar chand ho to ak ke sine ke mukabil aur qareeb khada ho

(Hawala>bahar e shariyat jild 01 hissa 04 safa no 139_140)

Katba Al abad Khaksar Nacheez Muhammad Shafiq Raza Rizvi Khateeb and Imam Sunni Masjid Hazrat Mansoor Shah Rehmat-ul-Alayh Bus Stop Kishanpur Al-Hind

0 Comments