Sawal Assalamu alekum kya farmate hai ulmaye ikram is masle ke bare me ki kya mayyat ko zameen ke upar rakha kar uske charo taraf se diwar uthana kaisa baraye karam javab inayat farmaye ain nawazish hogi faqat wassalam
Sawal karne wale ka name Mohammad Danish raza fatehpur
Al-Jawab Ba'un al-Mulk al-Wahhab
Walekum assalm
Surat e masoola me mayaat ko zameen pe rakh kar diwar banana jaiz nhi
Jaisa ki sarkar hujur shadrush shariya badrud tareeqa hajrat allama w maulana mufti amzad ali aazmi alaihi rahama bahar e shariyat hissa 04 me tahreer farmate hai ki
Mayyat ko dafan karna farz e kafaya hai aur ye jaiz nhi ki mayyat ko zameen par rakh kar aur charo taraf se diware qaim kar ke band kar de
Hawala>aalamgeeri radde mukhtar
Bahar e shariyat hissa 04 safa no 845 qabr w dafan ka bayan
Wallaho aalmu bissawab
Al abad Khaksar Nacheez Muhammad Shafiq Raza Rizvi Khateeb and Imam Sunni Masjid Hazrat Mansoor Shah Rehmat-ul-Alayh Bus Stop Kishanpur Al-Hind
0 Comments