Hinda ke talaq ke bad uski bateeji se nikah karna kaisa


Sawal Assalamu alekum kya farmate hai ulmaye ikram is masle ke bare me ki zaid ki biwi hinda talaq le chuki hai aur zaid ke pas bad e halala aana bhi nhi chahti ab zaid hinda ki sagi bateeji se nikah kar sakta hai ya nhi baraye karam javab inayat farmaye ain nawazish hogi faqat wassalam

Sawal karne wale ka name mo mazhar khan

Al-Jawab Ba'un al-Mulk al-Wahhab

Surat e masoola me bad talaq zaid hinda ki bateeji se balkul nikah kar sakta hai

Jaisa ki hujur shadrush shariya badrud tareeqa alaihi rahma bahar e shariyat me hadees shareef ke hawale se tahreer farmate hai

Abu dauood w tirmizi w darmi w nisai ki riwayat unhi se hai ki hujoor sallallaho alaihi wassalam ne usase mana farmaya ki fufi ke nikah me hote huve uski bateeji se nikah kiya jaye ya bateeji ke hote huve usaki fufi ya khala ke hote huve usaki bhanji se ya bhanji ke hote huve usaki khala se

(Hawala>bahar e shariyat hissa 08 safa no 19)

Khulasa kalam ye hai ki hinda ko talaq dene ke bad e iddat ya hinda ke inteqal ke bad zaid hinda ki bateeji se shadi kar sakta hai faqat wassalam

Wallaho aalmu bissawab

Katba Al abad Khaksar Nacheez Muhammad Shafiq Raza Rizvi Khateeb and Imam Sunni Masjid Hazrat Mansoor Shah Rehmat-ul-Alayh Bus Stop Kishanpur Al-Hind

0 Comments