5 asan wajeefe

 


1⃣ JIsne apni saari umr khuda ki nafarmani me guzaar di maaz ALLAH aur ab budhaape me tauba karna chahta hai to har namaze panjgaana ke baad 100 baar YA AAKHERO  يا اخر padha kare maula ne chaha to uska khaatma imaan par hoga aur maut ki sakhtiyon se nijaat payega

📕 Solah surah,safah 222

2⃣ Agar kisi jayaz rishte me muhabbat na ho to 786 baar BISMILLAH sharif padhkar paani par dum karke pilayen to dushmani dosti me badal jayegi in sha ALLAH,agar ek baar me asar na ho to behtar hai ki 40 roz lagataar karen

📕 Jannati zevar,safah 450

3⃣ Agar koi kaam bante bante bigad jaata ho ya rukawtein aati ho to ek waqt muqarrar karke usi waqt bawuzu madina sharif ki jaanib rukh karke do zaanu adab se baithkar 92 martaba YA MUHAMMAD salllallaho taala alaihi wasallam ka wird karen,har kaam ba aasani hona shuru ho jayega in sha ALLAH

📕 Ruhaani ilaaj jadeed,safah 193

4⃣ Jo log aulaad se mahroom hon to wo log har namaz ke baad paara 17 surah ambiya ki aayat no. 89 ka ye hissa RABBI LA TAZARNI FARDAU'N WA ANTA KHAIRUL WAARESEEN  رب لا تذرنى فردا وانت خير الوارثين 3 baar padhen to in sha ALLAH jald hi saahibe aulaad ho jaayenge

📕 Masayelul quran,safah 282

5⃣ Jo doodh peeta bachcha bahut rota ho to 70 baar YA TAWWAABO  يا تواب padhkar uspar dum karen uski shikayat door hogi aur har aafat se bhi mahfooz hoga

📕 Shamye shabistane raza

Katha Al abad Khaksar Nacheez Muhammad Shafiq Raza Rizvi Khateeb and Imam Sunni Masjid Hazrat Mansoor Shah Rehmat-ul-Alayh Bus Stop Kishanpur Al-Hind 

0 Comments