Taraveeh ki namaz do ke bajaye char char rakat padhna kaisa



Sawal Assalamu alekum kya farmate hai ulmaye ikram is masle ke bare me ki taraveeh ki namaz do ke bajaye char char rakat padhna kaisa baraye karam javab inayat farmaye ain nawazish hogi faqat wassalam

Sawal karne wale ka name mo Ajmal khan

Al Jawab taraveeh me bajaye do ke char rakat me salam fer sakata hai namaz ho jayegi magar karahat ke sath ba shart ye ki dusari rakat me kada kiya ho

Jaisa ki hujur sadrush shariya badrud tareeqa alaihi rahma farmate hai ki taraveeh ki bees rakate das salam se padhe yani har do rakat me salam fere jaisa ki ham logo me raij hai aur agar kisi ne biso padh kar aakhir me salam fera aur har do rakat par qada karta raha to namaz ho jayegi magar karahat ke sath aur agar qada n kiya to (beso rakat) do ke kaem muqam hongi

Hawala>durre mukhtar bab witar w nawafil mubhas salwat taraveeh jild 02 safa no 597)

Bahar e shariyat hissa 04 safa no 689)

Katba al abad Khaksar Nacheez Muhammad Shafiq Raza Rizvi Khateeb and Imam Sunni Masjid Hazrat Mansoor Shah Rehmat-ul-Alayh Bus Stop Kishanpur Al-Hind

0 Comments