Roze ki halat me bivi ko bosa dena kaisa


Sawal kya farmate hai ulmaye ikram is masle ke bare me ki roze ki halat me Roje ki halat me bivi ko bosa de diya to ky hukam hai baraye karam javab inayat farmaye ain nawazish hogi faqat wassalam

Sawal karne wale ka name mo shakir razvi jahan aabad up


Al Jawab surate majkoora me roza nhi tutega agar che mard ko injal ho jaye magar makrooh hai agar mard ne aurat ka bosa liya ya chua ya mubashrat ki ya gale lagaya aur injal ho gya to roza jata raha jaisa ki hujur shadrush shariya badrud tareeqa mufti amzad ali aazmi alaihi rahma bahar e shariyat me tahreer farmate hai ki aurat ka bosa liya ya chua ya mubashrat ki ya gale lagaya aur injal ho gya to roza jata raha aur aurat ne mard ko chua aur mard ko injal ho gaya to roza n gya aurat ko kapde ke upar se chua aur kapda inta dabez yani ki mota hai ki badan ki garmi mahsoos nhi hoti to fasid n hua agar che injal ho gya

(Hawala>bahar e shariyat hissa 05 safa no 988) roza todane wali chizo ka bayan

Aur fatawa hindiya me hai ki

ولو مس المرأۃ و رأی ثیابھا فأمنی فان وجد حرارۃ جلدھا فسد و الا فلا کذا فی معراج الدرایۃ ولو مست المرأۃ زوجھا حتی انزل لم یفسد صومہ ولو کان یکلف بذالک ففیہ اختلاف المشائخ کذا فی المحیط  اھ اور اسی میں ہے کہ والمس والمباشرۃ والمصافحۃ والمعانقۃ کالقبلۃ کذا فی البحر الرائق

Hawala fatawa hindiya jild 01 safa no 304/305

Katba Al abad Khaksar nachiz Mohammad shafeeq raza razvi khateeb w imam sunni masjid hajrat mansoor shah raatullah alaihi bus stop kishanpur Al hind

0 Comments